Friday, October 23
"कसक "
अप्रतिम सौंदर्य से इठलाती है फुलवारी
रक्ताभ पंखुडियों से सजी है जिसकी क्यारी क्यारी
पूर्ण सुरभित है माहौल महक से
फिर क्यूँ कराहे कोई तड़प से .....!
ज़रा सुनूँ नाद यह किसका ?
दर्द भरा रुदन यह जिसका
रुदन में जिसके तीखा है स्वर
यह तो एक पुष्प है बर्बर ...
करे सवाल वह गुलाब से
क्यूँ करे तू छलनी इन काँटों से ?
गुलाब कहे तू कर ले शिकवा
हक़ लिया है तुने इसका
व्यथा अपनी कहूँ मैं किससे
काँटों भरा है जीवन जिसका
छलनी मैं भी तो होता हूँ
अपने ही जीवन अंशों से
पर दूर कभी न जाऊंगा
डरकर के इन दंशो से...
छिपा मर्म जो बतलाया
एक आंसूं भी संग हो आया
आंसू भी तो कसक थी दिल की
शबनम बनकर संग हो गयी
सहर्ष साझेदार हो गयी
मादकता के अनुभव की ....
Monday, April 13
"Rishton Ki Pagdandi"
Ek pyara sa bandhan hai
Rishta naam jise ham dete,
Hon chahey ye dil ke rishtey
Ya rakt smbandh ho,
Chahey rishta manavata ka
Ya anjana hi bandhan ho,
Rishta to rishta hota hai.....
Rishtey ki hoti maryada
Maan isse bhi dena hota,
Gahra, uthla ,door nikat ka
Map isse bhi dena hota,
Prem se bante aaye rishtey
Ghrina ahankar se haain tootey,
Snehhh sinchit ho jab hon ye rishtey
To khushiyan hamse kabhi na roothey,
Rishton ki chhoti si pagdandi
Khushgavar zindagi mei le jaati,
Manohar surbhit mahki si
Jeevan ki bagiya mahakati,
Chalakr to isspar dekho yaaro
Saturday, March 21
kuchh gazal type ka chalega......okk pesh haiii....gour farmaiyega
Har ek aansu gam ka peekar ,
kyu hamei aaj muskurane ki talab ho rhi hai?
Lagakar zeher ka jaam labo se ,
kyu hamei aaj jeen ki talab ho rhi hai?
tanha hi kat gaya safar-e-zindagi,
kyu hamei aaj mehfilo mei zikra ki talab ho rhi hai?
Shagal tha doobne ka sinduri shamo mei,
kyu aaj sawere ki talab ho rahi hai?
sawan toh lagta tha jaise katne ko douda ho,
phir kyu hamei aaj bouchharon ki talab ho rahi haiii?
Gahre saagar banwar mei fanskar ,
kyu hamei aaj kinare ki talab ho rhi hai?
Tere har izahar ko inkaar mei tabdeel kiya hamne,
kyu phir aaj tujhe paane ki talab ho rhi hai?
......phir kyu aaj tujhe paane ki talab ho rhi hai???????
"KABRISTAAN"
Kab sey dil mei ye kaisi halchal hai?
bechaini si dil-o-dimag par kyu chayee harpal hai?
aisa lagta hai k bheetar se aawaz hai aayee
dabi-2 si....sahmi-2 si
mai bas yunhi nazarandaz kar gayee
magar is bechaini mei
iss uthal puthal mei
din raat kattey the sadiyo ki shakl mei
mei phir bhi na samajh payee
socha karti thi ye kaisi aafat hai aayee?
magar ab talne ko kuchh reh hi nhi gaya shesh
lawa sa umarhtata rah tha man mei
aur ghanto baitha karti thi nirmimesh...
Aaj suni hai hamne aawaz dil ki
kisi aur ki kanha ! wo toh aawaz thi mere bhavo ki
dil mei umarh rahe tamaam ehsaaso ki
man mei machal rahe anginat zazbaaton ki
wo jaise kah rhe ho-
" hamei shabdon ka libas de"
" hamei teri aawaz de"
" mahfilo mei na sahi,tanhaye ko hi mera aagaz de"
" hamei kavita na sahi, ek nazm ka hi roop de"
" ek baar hi sahi, lafzo mei dhalkar naya aayam de"
" bas hamei moort astitwa de......."
"Aur jo na de sake kuchh bhi.."
"..toh apne seene mei janm lene ki saza de"
" kuchal de hamei...kuchal de apne avchetan man k ansho ko"
" maar hi daal...katal kar de mujhe"
" Ek ehsaan hi toh hoga tera"
" jo tu siney mei daphan karegi mujhe"
" kyuki INSAANI SINEY SE BADA KABRISTAAN BHI TOH KANHI AUR NASEEB NA HOGA MUJHE"
Thursday, March 19
ya taaro ki ibadat kabool karti raat ho chahey purnima ki
tujhe toh bas mit jana hai ek naye sawere k liye
naye sawere k naye ujale k liye
naye ujale k i nayee kirno k liye
nayee kirno k naye armaano k lioye
naye armaano ki nayee kushiyo k liyeeee..........