Saturday, March 21

"KABRISTAAN"

Kab sey dil mei ye kaisi halchal hai?

bechaini si dil-o-dimag par kyu chayee harpal hai?

aisa lagta hai k bheetar se aawaz hai aayee

dabi-2 si....sahmi-2 si

mai bas yunhi nazarandaz kar gayee

magar is bechaini mei

iss uthal puthal mei

din raat kattey the sadiyo ki shakl mei

mei phir bhi na samajh payee

socha karti thi ye kaisi aafat hai aayee?

magar ab talne ko kuchh reh hi nhi gaya shesh

lawa sa umarhtata rah tha man mei

aur ghanto baitha karti thi nirmimesh...

Aaj suni hai hamne aawaz dil ki

kisi aur ki kanha ! wo toh aawaz thi mere bhavo ki

dil mei umarh rahe tamaam ehsaaso ki

man mei machal rahe anginat zazbaaton ki

wo jaise kah rhe ho-

" hamei shabdon ka libas de"

" hamei teri aawaz de"

" mahfilo mei na sahi,tanhaye ko hi mera aagaz de"

" hamei kavita na sahi, ek nazm ka hi roop de"

" ek baar hi sahi, lafzo mei dhalkar naya aayam de"

" bas hamei moort astitwa de......."

"Aur jo na de sake kuchh bhi.."

"..toh apne seene mei janm lene ki saza de"

" kuchal de hamei...kuchal de apne avchetan man k ansho ko"

" maar hi daal...katal kar de mujhe"

" Ek ehsaan hi toh hoga tera"

" jo tu siney mei daphan karegi mujhe"

" kyuki INSAANI SINEY SE BADA KABRISTAAN BHI TOH KANHI AUR NASEEB NA HOGA MUJHE"

2 comments:

किरण राजपुरोहित नितिला said...

shobha
kavita me bahut gehri samwedana hai jo .........
kiran

शोभा राजपुरोहित said...

mujhe pata tha aap zaroor samjhoge...dhanyavad