Monday, April 13

"Rishton Ki Pagdandi"


Ek pyara sa bandhan hai

Rishta naam jise ham dete,

Hon chahey ye dil ke rishtey

Ya rakt smbandh ho,

Chahey rishta manavata ka

Ya anjana hi bandhan ho,

Rishta to rishta hota hai

Rishta to rishta hota hai.....

Rishtey ki hoti maryada

Maan isse bhi dena hota,

Gahra, uthla ,door nikat ka

Map isse bhi dena hota,

Prem se bante aaye rishtey

Ghrina ahankar se haain tootey,

Snehhh sinchit ho jab hon ye rishtey

To khushiyan hamse kabhi na roothey,

Rishton ki chhoti si pagdandi

Khushgavar zindagi mei le jaati,

Manohar surbhit mahki si

Jeevan ki bagiya mahakati,

Chalakr to isspar dekho yaaro

Kitni pyari apni si………….!

4 comments:

के सी said...

सुन्दर कविता , बहुत पसंद आई.

शोभा राजपुरोहित said...

aapko pasand aayi...bhutt achha laga..dhanyawad.

किरण राजपुरोहित नितिला said...

pagdandi par payal ki runjun si sunai de rahi hai

शोभा राजपुरोहित said...

shukriya...