Saturday, March 21

kuchh gazal type ka chalega......okk pesh haiii....gour farmaiyega

Har ek aansu gam ka peekar ,

kyu hamei  aaj muskurane ki talab ho rhi hai?

Lagakar zeher ka jaam labo se ,

kyu hamei  aaj  jeen ki talab ho rhi hai?

tanha hi kat gaya safar-e-zindagi,

kyu hamei  aaj mehfilo mei zikra ki talab ho rhi hai?

Shagal tha doobne ka sinduri shamo mei,

kyu aaj sawere ki talab ho rahi hai?

sawan toh lagta tha jaise katne ko douda ho,

phir kyu hamei aaj bouchharon ki talab ho rahi haiii?

Gahre saagar banwar mei fanskar ,

kyu hamei  aaj kinare ki talab ho rhi hai?

Tere har izahar ko inkaar mei tabdeel kiya hamne,  

kyu phir  aaj tujhe paane ki talab ho rhi hai?

......phir kyu aaj tujhe paane ki talab ho rhi hai???????

"KABRISTAAN"

Kab sey dil mei ye kaisi halchal hai?

bechaini si dil-o-dimag par kyu chayee harpal hai?

aisa lagta hai k bheetar se aawaz hai aayee

dabi-2 si....sahmi-2 si

mai bas yunhi nazarandaz kar gayee

magar is bechaini mei

iss uthal puthal mei

din raat kattey the sadiyo ki shakl mei

mei phir bhi na samajh payee

socha karti thi ye kaisi aafat hai aayee?

magar ab talne ko kuchh reh hi nhi gaya shesh

lawa sa umarhtata rah tha man mei

aur ghanto baitha karti thi nirmimesh...

Aaj suni hai hamne aawaz dil ki

kisi aur ki kanha ! wo toh aawaz thi mere bhavo ki

dil mei umarh rahe tamaam ehsaaso ki

man mei machal rahe anginat zazbaaton ki

wo jaise kah rhe ho-

" hamei shabdon ka libas de"

" hamei teri aawaz de"

" mahfilo mei na sahi,tanhaye ko hi mera aagaz de"

" hamei kavita na sahi, ek nazm ka hi roop de"

" ek baar hi sahi, lafzo mei dhalkar naya aayam de"

" bas hamei moort astitwa de......."

"Aur jo na de sake kuchh bhi.."

"..toh apne seene mei janm lene ki saza de"

" kuchal de hamei...kuchal de apne avchetan man k ansho ko"

" maar hi daal...katal kar de mujhe"

" Ek ehsaan hi toh hoga tera"

" jo tu siney mei daphan karegi mujhe"

" kyuki INSAANI SINEY SE BADA KABRISTAAN BHI TOH KANHI AUR NASEEB NA HOGA MUJHE"